loading...

Saturday 7 January 2012

Mewar riyaasat me prachalit 5 prakaar ki mukhya pagdiya(saafe)

Mewar riyaasat me prachalit 5 prakaar ki mukhya pagdiya(saafe)- 1.Udai shahi [shasak-maharana udaisingh, maharana amar singh II]- *Khag ek taraf jisme jari me lagi rahti he n teen pachhevadiya aur chandrama bandha jata he. 2.Amar shahi [shasak-maharana amar singh II]- *pichhe ek pasa aur bich me jari rahti he, do pachhevadiya bandhi jati he aur khang me kiran v motiyo ki ladi lagae jati he. 3.Arasi shahi [shasak-amar singh]- *khag upar nikla hua teekha ruedaar hota he, teen pachhevadiya aur jadau jewar aadi bandhe jate he. 4.Bheem shahi [shasak- maharana bheem singh]- *pagadi ka bandhej shuru hua, khag mota v tote ki nok(beak) sa nikla hua ek taraf jhuka hua hota tha. 5.Swaroop shahi [shasak- maharana swaroop singh]- *yah rue(cotton) ki do emliyo par bandhi jati he, khag aur bich ke paase me jari lagti he.

No comments:

Post a Comment